Friday, March 6, 2009

Khamoshi- Jagjit Singh

Muh ki baat, sune har koi,
Dil ke dard ko jaane kaun?
Awaazon ke baazaron main,
Khaamoshi pehchane kaun?

Sadiyon sadiyon, wohi tamasha,
Rasta rasta, lambi khoj.
Lekin jab hum mil jaate hain,
Kho jaata hai, jaane kaun?
Awaazon ke baazaron main,
Khaamoshi pehchane kaun?

Woh mera, aainaa hai ya,
Main uski parchaaayi hu..
Mere hi ghar main rehta hai,
Mujhe jaisaa hi jaane kaun?
Awaazon ke baazaron main,
Khaamoshi pehechane kaun?

Kiran kiran, alsaata suraj,
Palak Palak, khulti neend,
Dheeme Dheeme bikhar raha hai,
Zarra zarra jaane kaun?

Muh ki baat sune hai koi,
Dil ke dard ko jaane kaun?
Awaazon ke baazaron main,
Khaamoshi pehechane kaun? 

No comments: